achchhi-khasi ruswai ka sabab hoti hai dusri aurat pahli jaisi kab hoti hai kuchh mafhum samajh kar aankhen bol utthin sargoshi to yunhi zer-e-lab hoti hai koi masiha shayad us ko chhu guzra dil ke andar itni raushni kab hoti hai tare tut ke daman mein gir jate hain jab mehman yahan ek dukhtar-e-shab hoti hai ek be-dagh dupatte mein pakiza nur kitni ujli us ki namaz mein chhab hoti hai giri padi dekhi hai sadak par tanhai pichhle pahar ko shahr ki nind ajab hoti hai aksar main ne qabristan mein ghaur kiya apni mitti apne hath mein kab hoti hai ab lagta hai ek dil bhi hai sine mein pahle kuchh taklif nahin thi ab hoti hai ishq kiya to apni hi nadani thi warna duniya jaan ki dushman kab hoti hai qadam qadam par hum ne aap se nafrat ki aisi mohabbat dil mein kisi ke kab hoti hai jaise ek jannat ki neamat mil jae mere liye to ghar ki faza hi sab hoti hai dubne wala phir upar aa jata hai kabhi kabhi dariya ki mauj ghazab hoti hai rashk se mera chehra takti hai duniya jaan ki dushman us ki surkhi-e-lab hoti hai