achhuta gar nahin mazmun to sada bandh lete hain

achhuta gar nahin mazmun to sada bandh lete hain
ghazal ek aur likhne ka irada bandh lete hain

kahan qismat mein sheron ki khazine ab khayalon ke
hum aksar apni sochon ka burada bandh lete hain

wahi chahat ki main jis mein raha hun mubtala barson
khayal aaya to socha phir iada bandh lete hain

ganwa dete hain hath aai khushi ko hum yunhi aksar
mile gar gham zarurat se ziyaada bandh lete hain

musafir the musafir hain masafat rach gai khun mein
safar ka nam le koi to jada bandh lete hain

agarche tang rahta hai hamesha qafiya apna
hamara hausla phir bhi kushada bandh lete hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close