ada-e-tul-e-sukhan kya wo ikhtiyar kare jo arz-e-haal ba-tarz-e-nigah-e-yar kare bahut hi talkh-nawa hun magar aziz-e-watan main kya karun jo tera dard be-qarar kare qadam ko faiz-e-junun se wo hausla hai nasib jo khar-e-rah ko bhi sham-e-rahguzar kare jagaen ham-safaron ko uthaen parcham-e-shauq na jaane kab ho sahar kaun intizar kare misal milti hai kitnon ki us diwane se chaman se dur jo baitha gham-e-bahaar kare dayar-e-jaur mein rasta hai ek yahi warna kise pasand hai ai dil ki sair-dar kare khuda kare gham-e-giti ka pech-o-tab ai dost kuchh aur bhi teri zulfon ko tabdar kare sitam ki tegh-e-qalam den use jo ai 'majruh' ghazal ko qatl kare naghme ko shikar kare