adhura apni hi zindagi ka hisab thahra jo chahe padh le hamara chehra kitab thahra suna tha kanon se jo bhi us ne wo sab haqiqat hamari aankhon ne jo bhi dekha wo khwab thahra ikattha zar kar liya hai us ne bhi apne ghar mein razil jitna tha utna izzat-maab thahra suna hai main ne wo shakhs bhi ban gaya hai achchha milunga kaise ki main to aakhir kharab thahra gharib har koi nachta hai unhin ki dhun par ye dast-e-ahl-e-arab mein kaisa rabab thahra kiya hai ehsan maut ne di najat mujh ko shikayaton ka bhi khatm 'saifi' lo bab thahra