adhuri qurbaton ke khwab aankhon ko dikha jaana hazaron duriyon par ye tera kuchh pas aa jaana udasi ke dhundlakon ka dimagh-o-dil pe chha jaana nazar ke samne ek gum-shuda manzar ka aa jaana suni hai main ne akasr band darwazon ki sargoshi sadaen chahti hain sab khuli sadkon pe aa jaana teri yaaden ki is tufan-e-zulmat mein bhi raushan hain hua mushkil hawa ko in charaghon ka bujha jaana khala mein dubti si aahaten thin kuchh jinhen hum ne safar mein sath rakkha manzilon ka aasra jaana main tere sath hun to us ki khushbu ke taaqub mein jahan tak ja sake ai sar-phiri mauj-e-hawa jaana nazar us ki bhi ai 'makhmur' dhoka kha gai aakhir wahi tha aashna chehra jise na-ashna jaana