agar anar mein wo raushni nahin bharta to khaksar dam-e-agahi nahin bharta ye bhuk pyas bahar-haal mit hi jati hai magar hai chiz to aisi ki ji nahin bharta tu apne aap mein mana ki ek dariya hai mera wajud bhi kuza sahi nahin bharta ye len-den ki apni haden bhi hoti hain ki pet bharta hai jholi koi nahin bharta hamara koi bhi nemul-badal nahin hoga hamari khali jagah koi bhi nahin bharta muaf karna ye khaka kahan ubharta hai agar ye dast-e-hunar rang hi nahin bharta kahan ye 'khair' kahan haar jit ka khadsha ki jism o jaan ki bazi se ji nahin bharta