agar ghaflat se baz aaya jafa ki talafi ki bhi zalim ne to kya ki mare aaghaz-e-ulfat mein hum afsos use bhi rah gai hasrat jafa ki kabhi insaf hai dekha na didar qayamat aksar us ku mein raha ki falak ke hath se main ja chhupun gar khabar la de koi tahtus-sara ki shab-e-wasl-e-adu kya kya jala hun haqiqat khul gai roz-e-jaza ki chaman mein koi us ku se na aaya gai barbaad sab mehnat saba ki kushad-e-dil pe bandhi hai kamar aaj nahin hai khairiyat band-e-qaba ki kiya jab iltifat us ne zara sa padi hum ko husul-e-muddaa ki kaha hai ghair ne tum se mera haal kahe deti hai bebaki ada ki tumhein shor-e-fughan se mere kya kaam khabar lo apni chashm-e-surma-sa ki diya ilm o hunar hasrat-kashi ko falak ne mujh se ye kaisi dagha ki gham-e-maqsad-rasi ta naza aur hum ab aai maut bakht-e-na-rasa ki mujhe ai dil teri jaldi ne mara nahin taqsir us der-ashna ki jafa se thak gae to bhi na puchha ki tu ne kis tawaqqo par wafa ki kaha us but se marta hun to 'momin' kaha main kya karun marzi khuda ki
This is a great momin khan ki shayari. Please share if you liked this!!!