agar hain khar-e-alam aadmi ke daman mein khushi ke phul bhi to hain usi ke daman mein hazar aish sahi zindagi ke daman mein magar hai sabr kahan aadmi ke daman mein agar sukun hai to hai bandagi ke daman mein milegi manzil-e-irfan usi ke daman mein kisi ki yaad mein aansu jo aankh se tapke jawaharaat hain ye aashiqi ke daman mein kamal-e-zabt yahi hai waqar-e-ishq yahi chhupi ho aarzu-e-dil khudi ke daman mein hadis-e-ishq-o-mohabbat ka tarjuman jo ho adab ke phul khile hain usi ke daman mein ba-chashm-e-ghaur jo dekho to aur bhi kuchh hai faqat gunah nahin aadmi ke daman mein ajal hazar buri chiz hai magar hamdam panah milti hai aakhir usi ke daman mein