agar kar-e-mohabbat mein mohabbat ras aa jati tumhaara hijr achchha tha jo waslat ras aa jati gala phada nahin karte rafu daryaft karne mein agar bekar rahne ki mashaqqat ras aa jati tumhein sayyaad kahne se agar hum baz aa jate hamein bhi is tamashe mein sukunat ras aa jati faqat ghussa piye jate hain roz o shab ke jhagde mein koi hangama kar sakte jo wahshat ras aa jati agar hum par kar sakte ye apni zat ka sahra to apne sath rahne ki sahulat ras aa jati