agar KHu-e-tahammul ho to koi gham nahin hota

agar khu-e-tahammul ho to koi gham nahin hota
gile shikwe se rang-e-zindagi kuchh kam nahin hota

bujhi jati hain shamen rahguzar-e-zindagani ki
charagh-e-arzu lekin kabhi maddham nahin hota

khuda ke samne jo sar yaqin ke sath jhuk jae
kisi taqat ke aage phir kabhi wo kham nahin hota

ata ki hai khuda ne ilm ki daulat agar tujh ko
sakhawat kar sakhawat ye khazana kam nahin hota

siyasat juzw-e-iman hai chalo yunhi sahi lekin
koi murshid mizaj-e-waqt ka mahram nahin hota

uruj-e-paikar-e-khaki se hai insaniyat larzan
fasad o sarkashi se pak ye aalam nahin hota

suno aazadi-e-insan ka dhonsa pitne walo
har ek insan wajh-e-azmat-e-adam nahin hota

ba-qadr-e-zarf-o-himmat hai rasai fikr-e-insan ki
har ek aami rumuz-e-mulk ka mahram nahin hota


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close