agar KHud apne maraatib se aashna ho jae

agar khud apne maraatib se aashna ho jae
zara si der mein insan kya se kya ho jae

na jaane kitne dilon se umand pade aansu
khuda kare ye mera saz be-sada ho jae

kisi kitab kisi rahnuma ki hajat kya
har ek naqs agar sher mein rawa ho jae

ajib rasm-e-zamana hai is ko kya kahiye
jo dusron ko milae wahi bura ho jae

dil-o-nigah mukaddar hon jin ke chehre se
hamara un ka kahin phir na samna ho jae

hamare ghar ki jo dushman bani hui hai abhi
chale hawa to pareshan yahi ghata ho jae

yaqin-e-lutf-o-karam aap agar dilaen use
'nasir' halqa-e-auham se riha ho jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close