agar koi khalish-e-jawedan salamat hai to phir jahan mein ye tarz-e-fughan salamat hai abhi to bichhde hue log yaad aaenge abhi to dard-e-dil-e-raegan salamat hai agarche is ke na hone se kuchh nahin hota hamare sar pe magar aasman salamat hai sabhi ko shauq-e-shahadat to ho gaya hai magar kisi ke dosh pe sar hi kahan salamat hai hamare sine ke ye zakhm bhar gae hain to kya udu ke tir udu ki kaman salamat hai jahan mein ranj-e-safar hum bhi khinchte hain magar jo gum hua hai wahi karwan salamat hai