agar kuchh hosh hum rakhte to mastane hue hote

agar kuchh hosh hum rakhte to mastane hue hote
pahunchte ja lab-e-saqi kun paimane hue hote

abas in shahriyon mein waqt apna hum kiye zae
kisi majnun ki sohbat baith diwane hue hote

na rakhta main yahan gar ulfat-e-laila nigahon kun
to majnun ki tarah aalam mein afsane hue hote

agar hum aashna hote teri begana-khui sin
bara-e-maslahat zahir mein begane hue hote

zi-bas kafir-adayon ne chalae sang-e-be-rahmi
agar sab jama karta main to but-khane hue hote

na karta zabt agar main girya-e-be-ikhtiyari kun
guzarta jis taraf ye pur virane hue hote

nazar chashm-e-kharidari sin karta dilbar-e-nadan
agar qatre mere aansu ke durdane hue hote

mohabbat ke nashe mein khas insan waste warna
farishte ye sharaben pi ki mastane hue hote

ewaz apne gareban ke kisi ki zulf hat aati
hamare hat ke panje magar shane hue hote

teri shamshir-e-abru sin hue sanmukh wa illa na
ajal ki tegh sin jyun aara dandane hue hote

maza jo aashiqi mein hai so mashuqi mein hargiz nin
'siraj' ab ho chuke afsos parwane hue hote


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close