agar na roen to aankhon pe bojh padta hai karen jo girya to raaton pe bojh padta hai parinde chhod ke tanha agar chale jaen to phir darakht ki shakhon pe bojh padta hai khata-e-ishq ko ab sirf sochne bhar se hamari ruh ke chhaalon pe bojh padta hai ye chand karta hai aaram jab amawas mein siyah raat mein taron pe bojh padta hai tum in ko ilm do lekin ye ehtiyat rakho ho bhaari basta to bachchon pe bojh padta hai sukut itna hamein ras aa gaya hai ki ab jo kuchh sunen bhi to kanon pe bojh padta hai tumhaari yaad ki ujdi hui haweli mein hai itni dhul ki sanson pe bojh padta hai hum is khayal se hijrat bhi kar nahin sakte qadam badhaen to rahon pe bojh padta hai