agar nachun nahin to panw mere ruth jate hain agar nachun zara khul ke to ghunghru tut jate hain zamane ki adaen dekh kar ye sochta hun main wahan sach kyun nahin jate jahan tak chhut jate hain jo mujh ko sath rakhna hai zara dhire se tum chalna chalun main tez to panw ke chhaale phut jate hain kahan rukna kahan chalna zaruri hai samajh warna jinhen pane ko hum dauden wo pichhe chhut jate hain wo mere dil ki sab baaten mujhi se jaan lete hain hai un ke dil mein kya jab puchhta hun ruth jate hain bhale hi khwab kuchh dekho magar ye dhyan bhi rakhna haqiqat se agar hon dur sapne tut jate hain