agar qadam tere mai-kash ka ladkhada jae to sham-e-mai-kada ki lau bhi tharthara jae ab is maqam pe lai hai zindagi mujh ko ki chahta hun tujhe bhi bhula diya jae mujhe bhi yun to badi aarzu hai jine ki magar sawal ye hai kis tarah jiya jae gham-e-hayat se itni bhi hai kahan fursat ki teri yaad mein ji bhar ke ro liya jae unhen bhi bhul chuka hun main ai gham-e-dauran ab is ke baad bata aur kya kiya jae na jaane ab ye mujhe kyun khayal aata hai ki apne haal pe be-sakhta hansa jae gurez ishq se lazim sahi magar 'rifat' jo dil hi baat na mane to kya kiya jae