agar tum rok do izhaar-e-lachaari karunga jo kahni hai magar wo baat main sari karunga mera dil bhar gaya basti ki raunaq se sau ab main kisi jalte hue sahra ki tayyari karunga sar-e-rah tamanna khak dalunga main sar mein jo aansu bujh gae un ki aza-dari karunga mujhe ab aa gae hain nafraton ke bij bone so mera haq ye banta hai ki sardari karunga main le aaunga maidan mein sabhi lafzon ke lashkar aur un se lauh-e-fikr-o-fan pe purkari karunga kai gham aa gae hain haal mera puchhne ko main ab is haal mein kis kis ki dildari karunga