agarche par kaghaz ki kabhi kashti nahin jati

agarche par kaghaz ki kabhi kashti nahin jati
magar apni ye majburi ki khush-fahmi nahin jati

khuda jaane gireban kis ke hain aur hath kis ke hain
andhere mein kisi ki shakl pahchani nahin jati

meri khwahish hai duniya ko bhi apne sath le aaun
bulandi ki taraf lekin kabhi pasti nahin jati

khayalon mein hamesha us ghazal ko gungunata hun
ki jo kaghaz ke chehre par kabhi likkhi nahin jati

wahi raste wahi raunaq wahi hain aam se chehre
'nawed' aankhon ki lekin phir bhi hairani nahin jati


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close