agarche tum sa banaya nahin gaya hun main

agarche tum sa banaya nahin gaya hun main
magar bana ke mitaya nahin gaya hun main

use ye dukh ki zamin tang qafiya mushkil
mujhe ye dukh ki nibhaya nahin gaya hun main

main jis taraf se mukammal dikhai deta hun
usi taraf se dikhaya nahin gaya hun main

ye inkisari azal se mere khamir mein hai
jhuka hua hun jhukaya nahin gaya hun main

ghurur lazmi unsur tha is wazarat ka
so khud hata hun hataya nahin gaya hun main

main apni zat mein ek mo'atabar hawala hun
kisi ke sath milaya nahin gaya hun main

main masalon mein filistin hun magar 'faisal'
kisi jagah pe uthaya nahin gaya hun main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close