agarche us ne likha hua hai jahan-e-fani mein mar dena makan wale se iltija hai ki la-makani mein mar dena mere azizo main ja raha hun meri wasiyyat ko yaad rakhna jo mujh sa koi bhi ek dekho use jawani mein mar dena mujhe hai malum ai musannif ki mera kirdar sanwi hai jahan izafi lage tumhein ye mujhe kahani mein mar dena main jaanta hun ki zoaf-e-piri to chhin leta hai bolna bhi zaban mein luknat se peshtar hi mujhe rawani mein mar dena unhen budhape mein chhodna mat nahif khwabon ko todna mat zaif man bap ko na tum un ki zindagani mein mar dena mujhe tumhaare sitam ki nisbat karam tumhaara aziz-tar hai so dasht-e-gham se bacha ke sahra-e-mehrbani mein mar dena agar ye dar hai ki aastin par mere lahu ke nishan honge tumhein suhulat main de raha hun ki mujh ko pani mein mar dena sabhi mohabbat ki baat karte hain main mohabbat nibha raha hun so marna ho to apne 'danish' ko jurm-e-sani mein mar dena