aghyar chhod mujh sen agar yar howega shayad ki yar mahram-e-asrar howega bujhega qadr mujh dil-e-ashufta-haal ki phande mein zulf ke jo giraftar howega be-fikr main nahin ki sanam mast-e-khwab hai kya kya bala karega jo bedar howega pinhan rakha hun dard kun lohu ki ghunt pi kahta nahin kisi sen ki izhaar howega bazm-e-junun mein saghar-e-wahshat piya jo kui ghaflat sen aql-o-hosh ki hushiyar howega teri bhanwon ki tegh ke pani kun dekh dil atka hai is sabab ki nadi par howega rangin na kar tun dil ka mahal naqsh-e-aish sen gham ke tabar sen mar ki mismar howega barja hai yar mujh pe agar mehrban hai bulbul pe gul baghair kise pyar howega jata nahin hai yar ki shamshir ka khayal malum yun hua ki gale haar howega inkar mujh kun nin hai teri bandagi sati yan kya hai balki hashr mein iqrar howega mujh pas phir kar aawe agar wo kitab-ru maktab mein dil ke dars ka takrar howega sehn-e-chaman mein dekh tere qad ki rasti har sard tujh salam kun khamdar howega us chashm-e-nim-khwab ki dekhe agar bahaar nargis chaman mein takhta-e-diwar howega us zulf-e-ambarin sen jo yak tar jhad pade har khub-ru kun turra-e-dastar howega ai jaan mere pas sen yak-dam juda na ho jina tere firaq mein dushwar howega rakhta hai garche aaina faulad ka jigar tir-e-nigah ke samne lachaar howega mat ho shab-e-firaq mein be-tab ai 'siraj' ummid hai ki subh kun didar howega