agli gali mein rahta hai aur milne tak nahin aata hai kahta hai takalluf kya karna hum tum mein to pyar ka nata hai kahta hai ziyaada milne se wadon ki khalish badh jaegi kuchh wade waqt pe bhi chhodo dekho wo kya dikhlata hai kahta hai tumhaara dosh na tha kuchh hum ko bhi apna hosh na tha phir hansta hai phir rota hai phir chup ho kar rah jata hai khud us se kaha ghar aane ko aur us ke bina mar jaane ko aur ab jo wo kuchh aawara hua ji rah rah kar ghabraata hai ai bachcho ai hansne walo tarikh-e-mohabbat padh dalo dil wale ke dil par qaid nahin har umr mein thokar khata hai