aham aankhen hain ya manzar khule to abhi hain band kitne dar khule to to phir kya haal ho bas kuchh na puchho jo bhitar hai wahi bahar khule to khayal o lafz hain dast-o-gareban hai kam-tar kaun hai bartar khule to sab apni karni mere mtthe mandh di musir tha khair khud ki shar khule to dikhai dega kuchh ka kuchh sabhi kuchh magar manzar ka pas-e-manzar khule to kadi hum hain usi ek silsile ki samundar umde gar gagar khule to nadarat wusaten sab rifaten phir paron mein aasman hain par khule to maze ki nind ek lambi si jhapki badan tera mera bistar khule to