ahbab hain kyun dang mujhe hi nahin malum kis se hai meri jang mujhe hi nahin malum tabani-e-jazbaat mein aai hai kami kya phika hai kyun har rang mujhe hi nahin malum muddat se main jo dagh mitane mein laga hun kahte hain use zang mujhe hi nahin malum din raat yun karta hai mujhe kaun muqayyad kyun kar hai zamin tang mujhe hi nahin malum ab kaun mere sar ko banata hai nishana kis hath mein hai sang mujhe hi nahin malum har lafz ka mafhum badal jata hai 'rahat' kaisi hai ye farhang mujhe hi nahin malum