ahd-e-ghazab hai shor bahut qil-o-qal ka

ahd-e-ghazab hai shor bahut qil-o-qal ka
ye daur hai baha-e-adab ke zawal ka

ghaaron mein chhup ke so raho ai sakinan-e-dil
sadiyon talak na aaega jhonka khayal ka

viran apne hath se ki kar-gah-e-zist
zarre se khub kaam liya hai kamal ka

aae the is zamin pe jaenge ab kahan
dega jawab kaun hamein is sawal ka

ye sai-e-raegan to na thi apni justuju
ai zul-jalal hum ko dikha rukh jamal ka

baithe hain sau baras se tere intizar mein
aao bhi ab to fasla hai ek sal ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close