ahd-e-mayusi jahan tak sazgar aata gaya

ahd-e-mayusi jahan tak sazgar aata gaya
apne-ape mein dil-e-be-ikhtiyar aata gaya

kuchh sukun kuchh zabt kuchh rang-e-qarar aata gaya
al-gharaz ikhfa-e-raaz-e-qurb-e-yar aata gaya

udte udte us ke aane ki khabar milti rahi
baal khole muzhda-e-gesu-e-yar aata gaya

rafta rafta meri al-gharzi asar karti rahi
meri be-parwaiyon par us ko pyar aata gaya

jasta jasta lahlahaya gulshan-e-zakhm-e-jigar
rafta rafta dasta-e-gul par nikhaar aata gaya

nind aankhon mein magar aati gai udti gai
dosh-e-nikhat par payam-e-zulf-e-yar aata gaya

us ne jis had tak bhi hum se dastan-e-gham suni
hum ko is nisbat se fan-e-ikhtisar aata gaya

ghaaliban ye bhi hai meri kaamyabi ka sabab
apni nakaami pe ghussa bar bar aata gaya

un mein shamil muskuraate phul bhi tare bhi hain
jin darichon se shuur-e-husn-e-yar aata gaya

aage aage aashiyane khar-o-khas chunte chale
pichhe pichhe takht-e-taus-e-bahaar aata gaya

is qadar nazdik-tar aati rahi qadmon ki chap
jis qadar khadsha khilaf-e-intizar aata gaya

us ke rujhan-e-nazar mein dilkashi pate hue
e'tibar-e-gardish-e-lail-o-nahaar aata gaya

rang laegi hamari tang-dasti ek din
misl-e-ghaalib 'shad' gar sab kuchh udhaar aata gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close