ahl-e-khirad ko ahl-e-nazar ka pata chala nikle to kitne shams-o-qamar ka pata chala samjhe the hum ki sahl hai ye jada-e-hayat aage badhe to sakht dagar ka pata chala ab tak meri nigah mein payab thi nadi jab dubne lage to bhanwar ka pata chala nikle the hum to shahr tha gunjaan dur tak laute to phir kisi ke na ghar ka pata chala shohrat hamari phail gai hai jahan mein muddat ke baad apne hunar ka pata chala 'firdaus' dhup dhup chala zindagi ki rah us ko na saya-dar shajar ka pata chala