ahl-e-wafa ki jaan the dushwar raste

ahl-e-wafa ki jaan the dushwar raste
phulon ka farsh ban gae pur-khar raste

teri shamim-e-zulf ke sadqe ki aaj bhi
mahki hui faza hai to gul-bar raste

viraniyon ka raj tha sunsan thi faza
aate hi kis ke ho gae bedar raste

sach hai ki har qadam pe nasheb-o-faraaz hain
hote nahin hain zist ke hamwar raste

science ke irtiqa ka karishma yahi to hai
amn-o-aman ke ho gae dushwar raste

tegh-e-bashar se khun-e-bashar jin pe hai rawan
hatte nahin nazar se wo gul-kar raste

chalte rahenge shauq-e-shahadat mein sarfarosh
dar-o-rasan ke lakh hon dushwar raste

zauq-e-safar ke sath rahe shauq-e-justuju
hote nahin kisi ke bhi gham-khwar raste

'maghmum’ shauq-e-manzil-e-maqsud to baja
manzil ki rah mein na hon diwar raste


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close