ai aawara yaado phir ye fursat ke lamhat kahan hum ne to sahra mein basar ki tum ne guzari raat kahan meri aabla-pai un mein yaad akasr ki jati hai kanton ne ek muddat se dekhi thi koi barsat kahan be-his diwaron ka jangal kafi hai wahshat ke liye ab kyun hum sahra ko jaen ab waise haalat kahan jis ko dekho fikr-e-rafu hai jis ko dekho wo naseh basti walon mein haar aae wahshat ki saughat kahan