ai chaara-saz kahish-e-dard-e-nihan na puchh

ai chaara-saz kahish-e-dard-e-nihan na puchh
kuchh aur puchh mujh se meri dastan na puchh

sab kuchh hua hai dost jahan-e-kharab mein
ahwal-e-gulsitan karam-e-baghban na puchh

kya maslahat thi kis liye majbur ho gae
kyon ruk gai hai aa ke labon par fughan na puchh

guzre hain lakh hadse rah-e-hayat mein
kya kya bataun qissa-e-umr-e-rawan na puchh

mazi ke naqsh zehn mein baqi nahin rahe
tha kis jagah chaman mein mera aashiyan na puchh


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close