ai dil ab ishq ki lai-goi aur chaugan mein aa

ai dil ab ishq ki lai-goi aur chaugan mein aa
be-khatar thok ke kham jang ke saman mein aa

khauf ghammaz raqibon ka na kar kuchh hargiz
ho ke raazi ba-raza waqt hai maidan mein aa

fursat is waqt ghanimat hai nikal zulmat se
suljh kar zulf se rukhsar-e-darakhshan mein aa

gul-e-rukhsara ka nazzara tu kar aankhen khol
angbin chakhne ko phir dil lab-e-khandan mein aa

baad us ke jo agar samjhe munasib ai dil
qaid hone ke tain chah-e-zanakhdan mein aa

harza phirne se tere gosha-nashini behtar
wahm-o-shak aur guman chhod ke iqan mein aa

wasl-o-hijrat ke tain ek samajh 'afridi'
aql hai kuchh bhi agar sohbat-e-rindan mein aa


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close