ai dil-e-nadan na koi tu sunahre KHwab dekh

ai dil-e-nadan na koi tu sunahre khwab dekh
band hota ja raha hai ab wafa ka bab dekh

un ke aane ki khabar baad-e-saba le aai hai
ho raha hai dil mera betab pe betab dekh

chand ke jalwe bhi tujh ko aaenge phike nazar
ek nazar pahle tu us ka chehra-e-zartab dekh

kya zara sa waqt badla sab ne aankhen pher lin
bebasi par muskuraate hain mere ahbab dekh

bhuk kahti hai ki kar le aur thodi koshishen
aur thakan kahti hai chal ab chal ke koi khwab dekh

kis qadar karne lage ahl-e-khirad nadaniyan
wo badal baithe hain apna huliya-e-adab dekh

ab to sahil bhi nazar aata nahin hai dur tak
bach nikalne ke 'hira' manjhdar se asbab dekh


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close