ai dil us zulf ki rakhiyo na tamanna baqi

ai dil us zulf ki rakhiyo na tamanna baqi
hashr tak warna rahegi shab-e-yalda baqi

tere hangama se khush hun magar ai josh-e-junun
kuchh qayamat ke liye bhi rahe ghaugha baqi

aap ko bech chuka hun tere gham ke hathon
hai magar ishq ka tere abhi sauda baqi

gham-e-hijran mein gai jaan chalo khub hua
doston ko na rahe fikr-e-mudawa baqi

jaan sine se nikalne ko hai dil pahlu se
hai faqat us nigah-e-naz ka ima baqi

khak-e-ashiq se ugata hai mughilan ka darakht
us ki mizhgan ka hai marqad mein bhi khatka baqi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close