ai dost koi mujh sa ruswa na hua hoga dushman ke bhi dushman par aisa na hua hoga ab ashk-e-hinai se jo tar na kare mizhgan wo tujh kaf-e-rangin ka mara na hua hoga tak gor-e-ghariban ki kar sair ki duniya mein un zulm-rasidon par kya kya na hua hoga be-nala-o-be-zari be-khastagi-o-khwari imroz kabhi apna farda na hua hoga hai qaeda kulli ye ku-e-mohabbat mein dil gham jo hua hoga paida na hua hoga is kohna-kharabe mein aabaadi na kar munim yak shahr nahin yan jo sahra na hua hoga aankhon se teri hum ko hai chashm ki ab howe jo fitna ki duniya mein barpa na hua hoga juz martaba-e-kal ko hasil kare hai aakhir yak qatra na dekha jo dariya na hua hoga sad nashtar-e-mizhgan ke lagne se na nikla khun aage tujhe 'mir' aisa sauda na hua hoga