ai dost teri baat sahar-khez bahut hai par tarz-e-takallum tera khun-rez bahut hai gum-sum sa khada hai koi darwaza-e-dil par is sham ka manzar to dil-awez bahut hai mahfil mein tere hone se hai rang pe mausam ahwal-e-khas-o-am tarab-khez bahut hai ek shakhs jo uljha hai nai fikr-o-nazar mein wo sahib-e-khush-fahm hai aur tez bahut hai jo baat tu kahta hai wahi baat ho shayad lekin teri ye baat gham-angez bahut hai bhadke hue shoale hi mata-e-dil-o-jaan hain 'alam' tere kuche mein hawa tez bahut hai