ai gham tujhi se kyon na khushi mustaar lun do din ki zindagi hai to hans kar guzar lun mumkin nahin ki mil sake ye jins-e-be-baha main warna dil ko bech ke dil ka qarar lun ai zulf-e-naz tera taqaza baja magar pahle gham-e-hayat ke gesu sanwar lun kanton ko apne khun-e-jigar se nikhaar kar kyon tujh se intiqam na fasl-e-bahaar lun