ai hawa tu hi nahin main bhi hun khak udata to yahin main bhi hun sirf aabaad nahin sannata is kharabe ka makin main bhi hun in sitaron mein kahin tum bhi ho in nazaron mein kahin main bhi hun kya tha jo dasht-nashin tha majnun kya hai jo gosha-nashin main bhi hun shad-abaad zamin kis se hai naz-bardar-e-zamin main bhi hun ya to kuchh bhi nahin maujud yahan ya mujhe hosh nahin main bhi hun