ai khak-e-watan tere parastar to sab hain hum hi hue kyon khar gunahgar to sab hain hum bhi hain kafan sar pe uthae hue ehsan jaldi thi tumhein warna sar-e-dar to sab hain dekhenge bane shisha-e-jaan kis ka nishana patthar liye yun darpai-e-azar to sab hain bahar na dhuan hai na sulagne ka nishan hai andar se bhadakte hue angar to sab hain ai shahar-e-ahinsa mein khade haikal-e-gandhi aa dekh tere shahr mein khunkhar to sab hain hakim bhi hain munsif bhi jo kahte hain sar-e-bazm masum hain do-chaar ye ghaddar to sab hain ek nuh nahin jo hamein kashti mein bitha le warna kisi tufan ke aasar to sab hain