ai khuda zabt ke zindan mein koi dar kar de ya use mom bana ya mujhe patthar kar de par kiye hain jo ata taqat-e-parwaz bhi de ya to main khul ke udun ya mujhe be-par kar de sazishen karte hain kyun apne gharane wale ghar diya hai to mere ghar ko mera ghar kar de mujh se ye karb ka aalam nahin dekha jata hafiza chhin le aankhen meri patthar kar de mere hisse ka sakun bant de insanon mein dard-e-sar sare zamane ka mere sar kar de mujh ko insan utara hai to insan bana be-zari mera muqaddar hai to bu-zar kar de