ai khwahish-e-yak-tarfa-e-taraj-e-junun sun sun dil ke qarin zamzama-e-kun-fayakun sun sunne ki hai jo tab to phir khol dariche ai gosh-e-mohabbat mera ahwal-e-zubun sun kyon is mein jalata nahin tu yaad ki shamen kab tak tu rahega yun tahi kunj-e-darun sun ek bar wo aaya tha meri ishrat-e-shab mein tari hai mere dil pe wahi sham-e-fusun sun khamyaza-e-bedari-e-shab jhel rahi hun rutha hai 'sahar' mujh se mera khwab-e-darun sun