ai mard-e-khuda ho tu parastar butan ka mazhab mein mere kufr hai inkar butan ka lagti wo tajalli sharar-e-sang ke manind musi tu agar dekhta didar butan ka gardan mein mere tauq hai zunnar ke manind hun ishq mein az-bas-ki gunahgar butan ka donon ki tuk ek sair kar insaf se ai shaikh kabe se tere garm hai bazar butan ka dun sari khudai ko ewaz un ke main 'taban' koi mujh sa bata de tu kharidar butan ka