ai mere ham-nashin chal kahin aur chal is chaman mein ab apna guzara nahin baat hoti gulon tak to sah lete hum ab to kanton pe bhi haq hamara nahin aaj aae ho tum kal chale jaoge ye mohabbat ko apni gawara nahin umr bhar ka sahaara bano to bano do ghadi ka sahaara sahaara nahin di sada dar par aur kabhi tur par kis jagah main ne tum ko pukara nahin thokaren yun khilane se kya faeda saf kah do ki milna gawara nahin gulsitan ko lahu ki zarurat padi sab se pahle hi gardan hamari kati phir bhi kahte hain mujh se ye ahl-e-chaman ye chaman hai hamara tumhaara nahin zalimo apni qismat pe nazan na ho daur badlega ye waqt ki baat hai wo yaqinan sunega sadaen meri kya tumhaara khuda hai hamara nahin apni zulfon ko rukh se hata lijiye mera zauq-e-nazar aazma lijiye aaj ghar se chala hun yahi soch kar ya to nazren nahin ya nazara nahin jaane kis ki lagan kis ke dhun mein magan hum ko jate hue mud ke dekha nahin hum ne aawaz par tum ko aawaz di phir bhi kahte hain hum ne pukara nahin