ai saba kah bahaar ki baaten is but-e-gul-ezar ki baaten kis pe chhode nigah ka shahbaz kya kare hai shikar ki baaten mehrbani sin ya hon ghusse sin pyari lagti hain yar ki baaten chhodte kab hain naqd-e-dil kun sanam jab ye karte hain pyar ki baaten puchhiye kuchh kahen hain kuchh 'naji' aa padin rozgar ki baaten