ai sanam talib nahin wo khuld se gulzar ka mubtala ko chahiye saya teri diwar ka mehman hai koi dam ka ya koi saat ka wo haal ab dekha nahin jata tere bimar ka khubsurat gauhar-e-khush-ab ki har ek ladi silsila kaisa bandha hai aansuon ke tar ka ghar kiya hai ai sanam us mein teri taswir ne band hona ghair-mumkin dida-e-didar ka zindagani ka maza kya kya nahin dikhla gaya is mere dil ke makan mein chhup ke aana yar ka kijiye nazr-e-butan ab shauq se iman-o-dil kya pahanna sahl samjha aap ne zunnar ka khol kar pur-kaif aankhen dekhte hain wo idhar lijiye wo khul gaya ab khana-e-khummar ka dekhne ko tab kya ho talib-e-didar ka nur se shams-o-qamar mein tere hi rukhsar ka aasiyon ke jurm ko wo hashr mein ifsha kare ai 'jamila' kaam ye hargiz nahin hushiyar ka