ai sanam wasl ki tadbiron se kya hota hai wahi hota hai jo manzur-e-khuda hota hai nahin bachta nahin bachta nahin bachta aashiq puchhte kya ho shab-e-hijr mein kya hota hai be-asar nale nahin aap ka dar hai mujh ko abhi kah dijiye phir dekhiye kya hota hai kyun na tashbih use zulf se den aashiq-e-zar waqai tul-e-shab-e-hijr bala hota hai yun takabbur na karo hum bhi hain bande us ke sajde but karte hain hami jo khuda hota hai 'barq' uftada wo hun saltanat-e-alam mein taj-e-sar ijz se naqsh-e-kaf-e-pa hota hai