ai shah-e-be-khudi kabhi diwana kar mujhe jab ho chukun diwana to achchha na kar mujhe aankhon ko meri apni basarat pe naz ho jab samne wo aae to andha na kar mujhe ab aur kitni bar chalun pul-siraat par wapas bula le phir kabhi paida na kar mujhe ai paikar-e-fana ye tera inzimam hai dariya bana hun qatre se roya na kar mujhe mustaghraq-e-junun-e-tayyush mein jab rahun ai raqs-e-zat sab ka tamasha na kar mujhe rahne na de junun mera mujh ko sukun se dast-e-shifa de aur masiha na kar mujhe