ai shahr-e-sitam-pesha bata kis ko sada dun ab kaun raha hai jise paigham-e-wafa dun shamil meri sanson mein hai sadiyon ki aziyyat aa gardish-e-dauran main tujhe bhi to dua dun ashkon ke guhar bhi to nahin pas mere ab main soch rahi hun gham-e-dauran tujhe kya dun darti hun bikhar jaegi khakistar-e-jaan bhi bujhte hue shoalon main tumhein kaise hawa dun wo log jo sargarm-e-takallum hain sar-e-bazm kaise unhen aadab takallum ke sikha dun ai raat sarabon ke siwa kuchh na milega main din ke ujale mein agar shama jala dun 'gulnar' sar-e-shakh-e-chaman lala-o-gul ko de de wo ijazat to mahakne ki ada dun