ai yas jo tu dil mein aai sab kuchh hua par kuchh bhi na hua yan ho gai khana-virani aur tera zarar kuchh bhi na hua tha qasd ki un ko rokengi shab guzri inhin andeshon mein par hae-re nakaami dil ki hangam-e-sahar kuchh bhi na hua ehsan tera mujh par hota gar ruh ko karta tan se juda jab jaan bachi furqat ki shab ai dard-e-jigar kuchh bhi na hua ai kash wo baaten ki hotin jo wahshat-e-dil ko kam kartin itna jo baka to ai naseh mujh ko to asar kuchh bhi na hua ab chahiye aisi fikr tujhe jis se ki nazare ki thahre har waqt ke rone se hasil ai dida-e-tar kuchh bhi na hua dil aur jigar jaan aur ye sar hum shauq se lae pas tere qismat ka gila ab kis se karen manzur-e-nazar kuchh bhi na hua ya us se jawab-e-khat lana ya qasid itna kah dena bachne ka nahin bimar tera irshad agar kuchh bhi na hua dhun wasl ki tujh par ghaalib hai tu aish-o-tarab ka talib hai kya lutf 'haqir' is ulfat ka betab agar kuchh bhi na hua