ai zindagi mujhe tera koi to ab sira mile ki kis nagar milegi tu koi to ab pata mile kisi ki yaad ne hamein to khud se dur kar diya bas apne aap se hamein koi to ab juda mile na jin ki hichkiyon ko koi shana aaj tak mila unhi ke aansuon ko bhi koi to ab jagah mile bas apne baam-o-dar se hum na aashna rahe sada koi to rahbar mile koi to ab khuda mile jo thak gae hain dar-ba-dar wafa teri talash mein zamin ki god mein unhen koi to ab jagah mile koi junun se ja kahe mujhe na ab talash kar ki aagahi ke dasht mein koi to ab sada mile ujad chukin hain bastiyan basengi, kis tarah bhala wafa ke dar se bas hamein koi to ab dawa mile hain ek jaise aks aur ek si sarisht bas hujum hai hujum mein koi to ab juda mile