aib bhi tere hunar lagte hain teri furqat ka samar lagte hain kal jo qadmon mein bichhe jate the ab wo sae bhi shajar lagte hain wo ude phirte hain hairat kya hai chiyuntiyon ke bhi to par lagte hain pi gain kitne samundar sadiyan ab bhi dariya hi amar lagte hain ek suraj hi to gahnaya hai log kyun khak-basar lagte hain jal raha hai koi gulshan shayad ashk aankhon mein sharar lagte hain jam-e-jam the jo mere dost kabhi hadsa hai ki khabar lagte hain hum jahan rahte hain wo dasht wo ghar dasht lagte hain na ghar lagte hain bais-e-ranj the ilzam kabhi ab to ye rakht-e-safar lagte hain raste band hain sare 'jauhar' phir bhi wo rahguzar lagte hain